Jindgi ki kasmkash

poem by: Dheeraj Yadav
Written on Nov 06, 2018

Jindgi ki bhagadodi se thakkar
Ruk jata hu Kuch pal Bhar
Sochta hu kya yahi Chahta tha 
Dua me bas yahi jindgi mangta tha
Kuch sapne the jinhe chodna pda
Ankho ko jabardasti modna pda
Khawaishe thi dil me Tamam Bhar
Har padaw me jinhe todna pada
Bachpan ke machlte hue man me
Kam aye kai jehen me
Jo har din Kisi ko dekhkar badal jate the
Bade hokar yhi banana he Dimag ko samjhate the
Phir jawani me ek hi bat samjhai gyi
Pesa hi jindgi he yhi batlai gyi
Humane bhi Apne sapno ko tala lagaya
Is pese wali jindgi ko apna bnaya
Chod Diya Apni Pratibha ko andhere me
Pesa chodd is man ne sbkuch bhulaya
Aaj pesa to bahut kama liya
Gadi leli Bangla BHI Bana liya
Lekin chehra jhuta liye ghum rhe he
Kyonki iski mithi muskan ko khi ghuma diya

 

Tags: Sad, Anger, Pain, Hope, Deep,

 

More by Dheeraj Yadav

...
Jindgi ki kasmkash

poem by Dheeraj Yadav

Jindgi ki bhagadodi se thakkar Ruk jata hu Kuch pal Bhar Sochta hu kya yahi Chahta tha Dua me bas yahi jindgi mangta tha Kuch sapne the jinhe chodna pda Ankho ko jabardasti modna pda Khawaishe thi dil me Tamam Bhar Har padaw m... Read more